Harivansh Rai Bachchan

Here you will find the Long Poem Need ka nirman fir-fir of poet Harivansh Rai Bachchan

Need ka nirman fir-fir

नीड़ का निर्माण फिर-फिर,
Need ka nirman fir- fir,
नेह का आह्णान फिर-फिर!
Neh ka ahwan fir-fir!

वह उठी आँधी कि नभ में
Vah uthi aandhi ke nabh mein
छा गया सहसा अँधेरा,
Chha gaya sahsa andhera,
धूलि धूसर बादलों ने
Dhuli dhusar baadalon ne,
भूमि को इस भाँति घेरा,
Bhumi ko is bhanti ghera,

रात-सा दिन हो गया, फिर
Raat sa din ho gaya, fir
रात आ‌ई और काली,
Raat aai aur kali,
लग रहा था अब न होगा
Lag raha tha ab na hoga
इस निशा का फिर सवेरा,
Is Nisha ka fir savera

रात के उत्पात-भय से
Raat ke utpat-bhay se
भीत जन-जन, भीत कण-कण
Bhit jan-jan, bhit kan-kan
किंतु प्राची से उषा की
Kintu prachi se usha ki
मोहिनी मुस्कान फिर-फिर!
Mohini muskan fir-fir!

नीड़ का निर्माण फिर-फिर,
Need ka nirman fir-fir
नेह का आह्णान फिर-फिर!
Neh ka ahwan fir-fir!

वह चले झोंके कि काँपे
Vah chale jhonke ki kanpe
भीम कायावान भूधर,
Bhim kaayavaan bhudhar,
जड़ समेत उखड़-पुखड़कर
Jad samet ukhad-pukhadkar
गिर पड़े, टूटे विटप वर,
Gir pade, toote vitap var,

हाय, तिनकों से विनिर्मित
Haay, tinkon se vinirmit
घोंसलो पर क्या न बीती,
Ghonslon par kya na beeti,
डगमगा‌ए जबकि कंकड़,
Dagmagaaye jabki kankar,
ईंट, पत्थर के महल-घर;
Eent, pathar ke mahal-ghar;

बोल आशा के विहंगम,
Bol aasha ke vihangam,
किस जगह पर तू छिपा था,
Kis jagah par tu chhipa tha,
जो गगन पर चढ़ उठाता
Jo gagan par chadh uthata
गर्व से निज तान फिर-फिर!
Garv se nij taan fir-fir!

नीड़ का निर्माण फिर-फिर,
Need ka nirman fir-fir,
नेह का आह्णान फिर-फिर!
Neh ka ahwan fir-fir!

क्रुद्ध नभ के वज्र दंतों
Krudhh nabh ke vajra danton
में उषा है मुसकराती,
Mein usha hai muskurati,
घोर गर्जनमय गगन के
Ghor garjanmay gagan ke,
कंठ में खग पंक्ति गाती;
Kanth mein khag pankti gaati;

एक चिड़िया चोंच में तिनका
Ek chidiya chonch mein tinka
लि‌ए जो जा रही है,
Liye jo ja rahi hai,
वह सहज में ही पवन
Vah sahaj mein hi pawan
उंचास को नीचा दिखाती!
Unchas ko neecha dikhaati!

नाश के दुख से कभी
Naash ke dukh se kabhi
दबता नहीं निर्माण का सुख
Dabta nahin nirman ka sukh
प्रलय की निस्तब्धता से
Parlay ki nistabdhta se
सृष्टि का नव गान फिर-फिर!
Srishti ka nav gaan fir-fir!

नीड़ का निर्माण फिर-फिर,
Need ka nirman fir-fir,
नेह का आह्णान फिर-फिर!
Neh ka ahwan fir-fir!