Amir Khusro

Here you will find the Poem Ab aaye na more saanvariya of poet Amir Khusro

Ab aaye na more saanvariya

अब आए न मोरे साँवरिया, मैं तो तन मन उन पर लुटा देती।
Ab aaye na more saanwariya, main to tan man un par luta deti.
घर आए न मोरे साँवरिया, मैं तो तन मन उन पर लुटा देती।
Ghar aaye na more saanwariya, main to tan man un par luta deti.
मोहे प्रीत की रीत न भाई सखी, मैं तो बन के दुल्हन पछताई सखी।
Mohe preet ki reet na bhai sakhi, main to ban ke dulhan pachhtai sakhi.
होती न अगर दुनिया की शरम मैं तो भेज के पतियाँ बुला लेती।
Hoti na agar duniya ki sharam, main to bhej ke patiyan bula leti.
उन्हें भेज के सखियाँ बुला लेती।
Unhe bhej ke sakhiyan bula leti.