Here you will find the Poem Aa rahi ravi ki sawaari of poet Harivansh Rai Bachchan
आ रही रवि की सवारी। Aa rahi ravi ki sawaari नव-किरण का रथ सजा है, Nav-kiran ka rath saja hai, कलि-कुसुम से पथ सजा है, Kali-kusum se path saja hai, बादलों-से अनुचरों ने स्वर्ण की पोशाक धारी। Baadalon-se anucharon ne swarn ki poshaak dhaari. आ रही रवि की सवारी। Aa rahi ravi ki sawaari. विहग, बंदी और चारण, Vihag, bandi aur chaaran, गा रही है कीर्ति-गायन, Gaa rahi hai kirti-gaayan, छोड़कर मैदान भागी, तारकों की फ़ौज सारी। Chhodkar maidan bhaagi, taarakon ki fauj saari. आ रही रवि की सवारी। Aa rahi ravi ki sawaari. चाहता, उछलूँ विजय कह, Chahta, uchhlun vijay kah, पर ठिठकता देखकर यह Par thithakta dekhkar yah रात का राजा खड़ा है, राह में बनकर भिखारी। Raat ka raja khada hai, raah mein banker bhikhari. आ रही रवि की सवारी। Aa rahi ravi ki sawaari.