Harivansh Rai Bachchan

Here you will find the Poem Aage himmat karke aao! of poet Harivansh Rai Bachchan

Aage himmat karke aao!

आगे हिम्मत करके आओ!
Aage himmat karke aao!

मधुबाला का राग नहीं अब,
Madhubala ka raag nahin ab,
अंगूरों का बाग नहीं अब,
Angooron ka bag nahin ab,
अब लोहे के चने मिलेंगे दाँतों को अजमाओ!
Ab lohe ke chane milenge daanton ko aajmaao!
आगे हिम्मत करके आओ!
Aage himmat karke aao!

दीपक हैं नभ के अंगारे,
Deepak hain nabh ke angaare,
चलो इन्हीं के साथ सहारे,
Chalo inhi ke saath sahaare,
राह? नहीं है राह यहाँ पर, अपनी राह बनाओ!
Raah? Nahin hai raah yahaan par, apni raah banaao!
आगे हिम्मत करके आओ!
Aage himmat karke aao!

लपट लिपटने को आती है,
Lapat lipatne ko aati hai,
निर्भय अग्नि गान गाती है,
Nirbhay agni gaan gaati hai,
आलिंगन के भूखे प्राणी, अपने भुज फैलाओ!
Aalingan ke bhookhe praani, apne bhuj failaao!
आगे हिम्मत करके आओ!
Aage himmat karke aao!