Harivansh Rai Bachchan

Here you will find the Poem Aisa bhi jivan ka koi maidan nahin of poet Harivansh Rai Bachchan

Aisa bhi jivan ka koi maidan nahin

ऐसा भी कोई जीवन का मैदान कहीं
Aisa bhi jivan ka koi maidan nahin
जिसने पाया कुछ बापू से वरदान नहीं?
Jisne paaya kuchh bapu se vardan nahin?
मानव के हित जो कुछ भी रखता था माने
Maanav ke hit jo kuchh bhi rakhta tha maane
बापू ने सबको
Bapu ne sabko 
गिन-गिनकर
Gin-ginkar
अवगाह लिया।
Avgaah liya.

बापू की छाती की हर साँस तपस्‍या थी
Bapu ki chhati ki har saans tapasya thi
आती-जाती हल करती एक समस्‍या थी,
Aati-jaati hal karti ek samasya thi,
पल बिना दिए कुछ भेद कहाँ पाया जाने,
Pal bina diye kuchh bhed kahan paaya jaane,
बापू ने जीवन
Bapu ne jivan
के क्षण-क्षण को
Ke kshan-kshan ko
थाह लिया।
Thah liya.

किसके मरने पर जगभर को पछताव हुआ?
Kiske marne par jagbhar ko pachhtava hua?
किसके मरने पर इतना हृदय-माथव हुआ?
Kiske marne par itna hriday-maathav hua?
किसके मरने का इतना अधिक प्रभाव हुआ?
Kiske marne ka itna adhik prabhaav hua?
बनियापन अपना सिद्ध किया अपना सोलह आने,
Baniyapan apna sidhh kiya apna solah aane,
जीने की किमत कर वसूल पाई-पाई,
Jeene ki kimat vasul kar paai-paai
मरने का भी
Marne ka bhi
बापू ने मूल्‍य
Bapu ne mulya
उगाह लिया।
Ugaah liya.