Here you will find the Poem Kshan bhar ko kyun pyaar kiya tha? of poet Harivansh Rai Bachchan
क्षण भर को क्यों प्यार किया था? Kshan bhar ko kyun pyaar kiya tha? अर्द्ध रात्रि में सहसा उठकर, Ardh raatri mein sahsa uthkar, पलक संपुटों में मदिरा भर Palat samputon mein madira bhar, तुमने क्यों मेरे चरणों में अपना तन-मन वार दिया था? Tumne kyun mere charnon mein apna tan-man vaar diya tha? क्षण भर को क्यों प्यार किया था? Kshan bhar ko kyun pyaar kiya tha? यह अधिकार कहाँ से लाया? Yah adhikar kahaan se laaya? और न कुछ मैं कहने पाया Aur na kuchh kahne paaya मेरे अधरों पर निज अधरों का तुमने रख भार दिया था! Mere adharon par nij adharon ka tumne rakh bhaar diya tha! क्षण भर को क्यों प्यार किया था? Kshan bhar ko kyun pyaar kiya tha? वह क्षण अमर हुआ जीवन में, Vah kshan amar hua jivan mein, आज राग जो उठता मन में Aaj raag jo uthta man mein यह प्रतिध्वनि उसकी जो उर में तुमने भर उद्गार दिया था! Yah pratidhwani uski jo ur mein tumne udgar kiya tha! क्षण भर को क्यों प्यार किया था? Kshan bhar ko kyun pyaar kiya tha?