Harivansh Rai Bachchan

Here you will find the Poem Maun aur Shabd of poet Harivansh Rai Bachchan

Maun aur Shabd

एक दिन मैंने
Ek din maine
मन में शब्द को धँसाया था
Man mein shabd ko dhansaaya tha
और एक गहरी पीड़ा,
Aur ek gahri peeda,
एक गहरे आनंद में,
Ek gahre anand mein,
सन्निपात-ग्रस्त सा,
Sannipaat-grast sa,
विवश कुछ बोला था
Vivash kuchh bola tha
सुना, मेरा वह बोलना
Suna, mera vah bolna
दुनियाँ में काव्य कहलाया था।
Duniya mein kaavya kahlaaya tha.

आज शब्द में मौन को धँसाता हूँ,
Aaj shabd mein maun ko dhansaata hun,
अब न पीड़ा है न आनंद है
Ab na peeda hai na anand hai
विस्मरण के सिन्धु में
Vismaran ke Sindhu mein
डूबता सा जाता हूँ,
Dubta sa jaata hun
देखूँ,
Dekhun,
तह तक
Tah tak
पहुँचने तक,
Pahunchne tak,
यदि पहुँचता भी हूँ,
Yadi pahunchta bhi hun 
क्या पाता हूँ।
Kya paata hun.