Harivansh Rai Bachchan

Here you will find the Poem Saathi, sab kuchh sahna hoga! of poet Harivansh Rai Bachchan

Saathi, sab kuchh sahna hoga!

साथी, सब कुछ सहना होगा!
Saathi, sab kuchh sahna hoga!
मानव पर जगती का शासन,
Maanav par jagti ka shaasan,
जगती पर संसृति का बंधन,
Jagti par sansriti ka bandhan,
संसृति को भी और किसी के प्रतिबंधो में रहना होगा!
Sansriti ko bhi aur kisi ke pratibandhon mein rahna hoga!
साथी, सब कुछ सहना होगा!
Saathi, sab kuchh sahna hoga!

हम क्या हैं जगती के सर में!
Hum kya hain jagti ke sir mein!
जगती क्या, संसृति सागर में!
Jagti kya, sansriti sagar mein!
एक प्रबल धारा में हमको लघु तिनके-सा बहना होगा!
Ek prabal dhaara mein humko laghu tinke-sa bahna hoga!
साथी, सब कुछ सहना होगा!
Saathi, sab kuchh sahna hoga!

आ‌ओ, अपनी लघुता जानें,
Aao apni laghuta jaanein,
अपनी निर्बलता पहचानें,
Apni nirbalta pahchaanein,
जैसे जग रहता आया है उसी तरह से रहना होगा!
Jaise jag rahta aaya hai usi tarah se rahna hoga!
साथी, सब कुछ सहना होगा!
Saathi, sab kuchh sahna hoga!