Ramdhari Singh Dinkar

Here you will find the Poem Pakshi aur badal of poet Ramdhari Singh Dinkar

Pakshi aur badal

ये भगवान के डाकिये हैं,
Ye bhagwan ke daakiye hain,
जो एक महादेश से
Jo ek mahadesh se
दूसरे महादेश को जाते हैं।
Doosre mahadesh ko jaate hain.

हम तो समझ नहीं पाते हैं,
Hum to samajh nahin paate hain,
मगर उनकी लायी चिठि्ठयाँ
Magar unki laayi chitthhiyan
पेड़, पौधे, पानी और पहाड़
Ped, paudhe, paani aur pahaad
बाँचते हैं।
Baanchte hain.

हम तो केवल यह आँकते हैं
Hum to keval yeh aankte hain
कि एक देश की धरती 
Ki ek desh ki dharti
दूसरे देश को सुगन्ध भेजती है।
Doosre desh ko sugandh bhejti hai.

और वह सौरभ हवा में तैरती हुए
Aur vah Saurabh hawa mein tairti hue
पक्षियों की पाँखों पर तिरता है।
Pakshiyon ki paankhon par tirta hai.
और एक देश का भाप
Aur ek desh ki bhaap
दूसरे देश का पानी
Doosre desh ka paani
बनकर गिरता है।
Banker girta hai.