Suryakant Tripathi Nirala

Here you will find the Poem Bhar dete ho of poet Suryakant Tripathi Nirala

Bhar dete ho

भर देते हो
Bhar dete ho
बार-बार, प्रिय, करुणा की किरणों से
Baar-baar, priya, karuna ki kirnon se,
क्षुब्ध हृदय को पुलकित कर देते हो ।
Kshubdh hriday ko pulkit kar dete ho.

मेरे अन्तर में आते हो, देव, निरन्तर,
Mere antar mein aate ho, dev, nirantar,
कर जाते हो व्यथा-भार लघु
Kar jaate ho vyatha-bhar laghu,
बार-बार कर-कंज बढ़ाकर;
Baar-baar kar-kanj badhaakar;

अंधकार में मेरा रोदन
Andhkaar mein mera rodan
सिक्त धरा के अंचल को
Sikt dhara ke anchal ko
करता है क्षण-क्षण
Karta hai kshan-kshan

कुसुम-कपोलों पर वे लोल शिशिर-कण
Kusum-kapolon par ve lol sishir-kan
तुम किरणों से अश्रु पोंछ लेते हो,
Tum kirnon se ashru ponchh lete ho,
नव प्रभात जीवन में भर देते हो ।
Nav prabhat Jeevan mein bhar dete ho.