Suryakant Tripathi Nirala

Here you will find the Poem Khula aasmaan of poet Suryakant Tripathi Nirala

Khula aasmaan

बहुत दिनों बाद खुला आसमान!
Bahut dinon baad khula aasmaan!
निकली है धूप, खुश हुआ जहान!
Nikli hai dhoop, khush hua jahaan!

दिखी दिशाएँ, झलके पेड़,
Dikhi dishaaein, jhalke ped,
चरने को चले ढोर--गाय-भैंस-भेड़,
Charne ko chale dhor—gaay, bhains, bhed,
खेलने लगे लड़के छेड़-छेड़
Khelne lage ladke ched-ched
लड़कियाँ घरों को कर भासमान!
Ladkiyan gharon ko kar bhasman!

लोग गाँव-गाँव को चले,
Log gaanv-gaanv ko chale,
कोई बाजार, कोई बरगद के पेड़ के तले
Koi bajaar, koi bargad ke ped ke tale,
जाँघिया-लँगोटा ले, सँभले,
Janghiya-langota le, sambhle,
तगड़े-तगड़े सीधे नौजवान!
Tagde-tagde seedhe naujawan!

पनघट में बड़ी भीड़ हो रही,
Panghat mein badi bheed ho rahi,
नहीं ख्याल आज कि भीगेगी चूनरी,
Nahin khayal aaj ki bheegegi chunri,
बातें करती हैं वे सब खड़ी,
Baatein karti hain ve sab khadi,
चलते हैं नयनों के सधे बाण!
Chalte hain nayanon ke sadhe baan!