Harivansh Rai Bachchan

Here you will find the Poem Aaj fir se of poet Harivansh Rai Bachchan

Aaj fir se

आज फिर से तुम बुझा दीपक जलाओ ।
Aaj fir se tum bujha deepak jalaao.

है कंहा वह आग जो मुझको जलाए,
Hai kahaan vah aag jo mujhko jalaaye,
है कंहा वह ज्वाल पास मेरे आए,
Hai kahaan vah jwaal paas mere aaye,

रागिनी, तुम आज दीपक राग गाओ,
Ragini, tum aaj Deepak raag gaao,
आज फिर से तुम बुझा दीपक जलाओ ।
Aaj fir se tum bujha deepak jalaao.

तुम नई आभा नहीं मुझमें भरोगी,
Tum nayi abha nahin mujhmein bharogi,
नव विभा में स्नान तुम भी तो करोगी,
Nav vibha mein snan tum bhi toh karogi,

आज तुम मुझको जगाकर जगमगाओ,
Aaj tum mujhko jagakar jagmagaao,
आज फिर से तुम बुझा दीपक जलाओ ।
Aaj fir se tum bujha deepak jalaao.

मैं तपोमय ज्योती की, पर, प्यास मुझको,
Main tapomay jyoti ki, par, pyaas mujhko,
है प्रणय की शक्ति पर विश्वास मुझको,
Hai pranay ki shakti par vishwas mujhko,

स्नेह की दो बूंदे भी तो तुम गिराओ,
Sneh ki do boondein bhi toh tum giraao,
आज फिर से तुम बुझा दीपक जलाओ ।
Aaj fir se tum bujha deepak jalaao.
कल तिमिर को भेद मैं आगे बढूंगा,
Kal timir ko bhed main aage badhunga,
कल प्रलय की आंधियों से मैं लडूंगा,
Kal parlay ki aandhiyon se main ladunga,

किन्तु आज मुझको आंचल से बचाओ,
Kintu aaj mujhko aanchal se bachaao,
आज फिर से तुम बुझा दीपक जलाओ ।
Aaj fir se tum bujha deepak jalaao.