Harivansh Rai Bachchan

Here you will find the Poem Koi gaata main so jata of poet Harivansh Rai Bachchan

Koi gaata main so jata

संस्रिति के विस्तृत सागर में
Sanstriti ke vistrit saagar mein
सपनो की नौका के अंदर
Sapnon ki nauka ke andar
दुख सुख कि लहरों मे उठ गिर
Dukh sukh ki lahron mein uth gir
बहता जाता, मैं सो जाता ।
Bahta jaata, main so jaata.

आँखों में भरकर प्यार अमर
Aankhon mein bharkar pyaar amar
आशीष हथेली में भरकर
Aashish hatheli mein bharkar
को‌ई मेरा सिर गोदी में रख
Koi mera sir godi mein rakh
सहलाता, मैं सो जाता ।
Sahlaata, main so jaata.

मेरे जीवन का खाराजल
Mere jivan ka khaarajal
मेरे जीवन का हालाहल
Mere jivan ka haalahal
को‌ई अपने स्वर में मधुमय कर
Koi apne swar mein madhumay kar
बरसाता मैं सो जाता ।
Barsaata main so jaata.

को‌ई गाता मैं सो जाता
Koi gaata main so jata
मैं सो जाता
Main so jaata.
मैं सो जाता
Main so jaata.