Here you will find the Long Poem Koshish karne waalon ki haar nahin hoti of poet Harivansh Rai Bachchan
लहरों से डर कर नौका पार नहीं होती Lahron se darker nauka paar nahin hoti, कोशिश करने वालों की हार नहीं होती Koshish karne waalon ki haar nahin hoti नन्हीं चींटी जब दाना लेकर चलती है Nanhin cheenti jab daana lekar chalti hai चढ़ती दीवारों पर, सौ बार फिसलती है Chadhti deewaron par, sau baar fisalti hai, मन का विश्वास रगों में साहस भरता है Man ka vishwas rangon mein saahas bharta hai, चढ़कर गिरना, गिरकर चढ़ना न अखरता है Chadhkar girna, girkar chadhna na akharta hai आख़िर उसकी मेहनत बेकार नहीं होती Aakhir uski mehnat bekar nahin hoti, कोशिश करने वालों की हार नहीं होती Koshish karne waalon ki haar nahin hoti डुबकियां सिंधु में गोताखोर लगाता है Dubkiyan sindhu mein gotakhor lagata hai जा जा कर खाली हाथ लौटकर आता है Ja ja kar khali haath lautkar aata hai मिलते नहीं सहज ही मोती गहरे पानी में Milte hi nahin sahaj moti gahre paani mein बढ़ता दुगना उत्साह इसी हैरानी में Badhta dugna utsaah isi hairaani mein मुट्ठी उसकी खाली हर बार नहीं होती Mutthhi uski khali har baar nahin hoti कोशिश करने वालों की हार नहीं होती Koshish karne waalon ki haar nahin hoti असफलता एक चुनौती है, स्वीकार करो Asafalta ek chunauti hai, sweekar karo क्या कमी रह गई, देखो और सुधार करो Kya kami rah gayi, dekho aur sudhaar karo जब तक न सफल हो, नींद चैन को त्यागो तुम Jab tak na safal ho, neend chain tyaago tum संघर्ष का मैदान छोड़ मत भागो तुम Sangarsh ka maidaan chhorkar mat bhago tum कुछ किये बिना ही जय जय कार नहीं होती Kuchh kiye bina hi jai jai kaar nahin hoti कोशिश करने वालों की हार नहीं होती Koshish karne waalon ki haar nahin hoti