Here you will find the Long Poem Need ka nirman fir-fir of poet Harivansh Rai Bachchan
नीड़ का निर्माण फिर-फिर, Need ka nirman fir- fir, नेह का आह्णान फिर-फिर! Neh ka ahwan fir-fir! वह उठी आँधी कि नभ में Vah uthi aandhi ke nabh mein छा गया सहसा अँधेरा, Chha gaya sahsa andhera, धूलि धूसर बादलों ने Dhuli dhusar baadalon ne, भूमि को इस भाँति घेरा, Bhumi ko is bhanti ghera, रात-सा दिन हो गया, फिर Raat sa din ho gaya, fir रात आई और काली, Raat aai aur kali, लग रहा था अब न होगा Lag raha tha ab na hoga इस निशा का फिर सवेरा, Is Nisha ka fir savera रात के उत्पात-भय से Raat ke utpat-bhay se भीत जन-जन, भीत कण-कण Bhit jan-jan, bhit kan-kan किंतु प्राची से उषा की Kintu prachi se usha ki मोहिनी मुस्कान फिर-फिर! Mohini muskan fir-fir! नीड़ का निर्माण फिर-फिर, Need ka nirman fir-fir नेह का आह्णान फिर-फिर! Neh ka ahwan fir-fir! वह चले झोंके कि काँपे Vah chale jhonke ki kanpe भीम कायावान भूधर, Bhim kaayavaan bhudhar, जड़ समेत उखड़-पुखड़कर Jad samet ukhad-pukhadkar गिर पड़े, टूटे विटप वर, Gir pade, toote vitap var, हाय, तिनकों से विनिर्मित Haay, tinkon se vinirmit घोंसलो पर क्या न बीती, Ghonslon par kya na beeti, डगमगाए जबकि कंकड़, Dagmagaaye jabki kankar, ईंट, पत्थर के महल-घर; Eent, pathar ke mahal-ghar; बोल आशा के विहंगम, Bol aasha ke vihangam, किस जगह पर तू छिपा था, Kis jagah par tu chhipa tha, जो गगन पर चढ़ उठाता Jo gagan par chadh uthata गर्व से निज तान फिर-फिर! Garv se nij taan fir-fir! नीड़ का निर्माण फिर-फिर, Need ka nirman fir-fir, नेह का आह्णान फिर-फिर! Neh ka ahwan fir-fir! क्रुद्ध नभ के वज्र दंतों Krudhh nabh ke vajra danton में उषा है मुसकराती, Mein usha hai muskurati, घोर गर्जनमय गगन के Ghor garjanmay gagan ke, कंठ में खग पंक्ति गाती; Kanth mein khag pankti gaati; एक चिड़िया चोंच में तिनका Ek chidiya chonch mein tinka लिए जो जा रही है, Liye jo ja rahi hai, वह सहज में ही पवन Vah sahaj mein hi pawan उंचास को नीचा दिखाती! Unchas ko neecha dikhaati! नाश के दुख से कभी Naash ke dukh se kabhi दबता नहीं निर्माण का सुख Dabta nahin nirman ka sukh प्रलय की निस्तब्धता से Parlay ki nistabdhta se सृष्टि का नव गान फिर-फिर! Srishti ka nav gaan fir-fir! नीड़ का निर्माण फिर-फिर, Need ka nirman fir-fir, नेह का आह्णान फिर-फिर! Neh ka ahwan fir-fir!